aalasya ko dur kaise kare: student aalasya ko dur kaise kare, kya manushya ka sabase bada dushaman aalasya kyo hai, aalasya ke karan hone wale nukasan kon kon se hai, aalasya se chhutakara kis tarah se paya ja sakta hai,
aalasya ko dur kaise kare |
aalasya ko dur kaise kare: namashkar dosto kya aap jante hai, ki manusha jo sochhata hai, wah kar sakta hai, manushya ek aisa prani hota hai, jo bahoot hi buddhiman mana jata hai, manushya ke jivan me hone wale nukashan ka karan aalasya hota hai, aapko aaj ke is blog me hum batayenge ki yadi aap aalasya karte hai, to aap apni tarakki me kis tarah ki badha dal rahe hai, aalasya se aapko hone wala nukashan kon sa hai, yadi aap aalasya ke bare me sari jankari janna chahate hai, to aap hamare is blog ko pura jaroor padhe jisase ki aapko aalasya se hone wale nukshan ke bare me jankari ho sake,( aalasya ko dur kaise kare)
aalasya ko dur kaise kare
1. aalasya kya hai
aalasya ko dur karne se pahle hame aalasya ke bare me janana jaroori hai, jab manushya apne kisi kam ko puri lagan se karta hai, or usake kam ke beech me honi wali aaramdayak energy beech me aati hai, to use hum aalasya kahte hai, isako yadi hum dusare tarike se samjhaya jaye to kisi bhi kam ko ruchhi or lagan se na karna hi hamari aalasya kahalati hai, aalasya ko dur kaise kare
2. aalasya ko dur kaise kare
yah to aap jante hi honge ki pratyek manushya ke sharir me aalasya hota hai, lekin kuchh purush aise hote hai, jinko aalasya kam aata hai, jabki kuchh purush aise hote hai, jinko ki aalasya bar- bar aata hai, or wah isase pareshan hote rahte hai, or yahi karan hai ki unako unke kam karne me bhi ruchi nahi hoti hai, wah vyakti jindagi me hamesh pichhe rahta hai, jisako aalasya hamesh se aata hai, yadi aapko bhi aalasya bar – bar aata hai, or aap bhi isase pareshan hai, to aap ghabaraye nahi, kyoki aaj ke is blog me hum aapko batayenge ki aap kis tarah se aalasya se chhutakara pa sakte hai, or apni tarkki ko hashil kar sakte hai, wahi aap apne sapno ko bhi pura kar sakte hai, to chaliye dosto ab hum aapko aalasya ko dur karne ke bare me batate hai, humne aapko niche kuchh aalshya ko dur karne ke kuchh nushke bateye hai, aap unhe jankar aalasya ko dur karke apne jivan ko safal bana sakte hai,
- Roj shubah shubah exasize kare.
- rat ko khana kam khaye.
- shubah shubah 10-20 minit pranayam kare.
- apne kam ko ek laksha ki tarah kare.
- jyada samay tak free na rahe.
ab hum aapko upar diye gaye point ko vishtar se janne ki koshish karenge,
Roj shubah shubah exasize kare
kya aap jante hai, ki shubah shubah exasize karna hamari sehat ke liye, kitana labhadayak hota hai, jab hum Roj shubah shubah exasize karte hai, to hamara sharir to majaboot rahta hai, sath hi hum exasize karke aalasya ko dur kar sakte hai,
Rat ko khana kam khaye
aapne sochha hoga ki hum to khana kam hi khate hai, fir bhi hame aalasya aati hai, to aapko hum bata de ki yah ham unake liye, bata rahe hai jo Rat ko bhi khana jitne ki jaroorat ho usase jyada matra me khate hai, yadi aap rat me kam khana kayenge to aapko nind sahi matra me puri hogi nahi to aap jyada lambe samay tak sote rahenge, jisase ki aapko usake agale din, din bhar aalasya aati rahegi or aap pareshan hote rahenge,
shubah shubah 10-20 minit pranayam kare
pranayam ka hamare jivan me kitana jyada prabhav padta hai, aapne dekha hoga baba ramdev ji bhi pranayam karne ke bare me kahte hai, aap yadi shubah shubah pranayam karenge to aapko aalasya se chutakara mil sakta hai,
apne kam ko ek laksha ki tarah kare
apne kary ke prati aapka lagav itana jyada hona chahiye ki aapko aalasya chhu bhi na sake, agar aap apne kam ko ek laksha ki tarah karenge to aapka man puri tarah se us kam ki or signal dega jisase ki hamra aalasya aane ka chance kam rahata hai,
jyada samay tak free na rahe
manushya ko lagatar kuchh na kuchh karte rahna chahiye, sadiyo se aa rahi bat ko aaj bhi kuchh log kahate hai, ki fee rahna saitan ka ghar mana jata hai, isaliye manushya ko kuchh na kuchh aapne jivan ki is dinchariya me karte rahna chahiye, yadi aap apne kam par jyada fhocas karenge to aapka man us kam ki or rahega or aalasya aapko nahi chhuagi,
3. aalasya kaha jyada hai
jab hum kisi free logo ko dekhate hai, to hame dekhane ko milata hai, ki us vyakti ke pass aalasya jyada hoti hai, isaka karan yah hai ki aalasya jyada usi vyakti ke pass me hoti hai, jo jyada kam nahi karte or din bhar soye rahte hai, jo manushya khana khane ke turant bad so jata hai, wah manushya ke pass me aalasya jyada aati hai, aisa kaha jata hai, ki jis vyakti ke sapne nahi hote, jisaka koi laksha kam ke prati nahi hota hai, usako aalasya jyada aati hai, aalasi vyakti ke pass me hame rahna nahi chahiye, kyoki wah vyakti apna samay to kharab karta hai, sath hi hamara bhi samay kharab karta hai, isaliye aalasi logo se dosti nahi karna chahiye, jaha vyakti ke pass kuchh kam nahi hota hai, waha aalasya ki shuruaat ho jati hai, (aalasya ko dur kaise kare)
ise bhi padhein: zomato kya hai
4. student ke jivan me aalasya ka kya prabhav hota hai
student ko apne jivan ko sudharana chahiye, ek student ke jivan par aalasya ka bahoot hi gahara prabhav hota hai,aisa kaha jata hai, ki student hamare desh ki aan, ban, or shan, hote hai, desh ki tarakki karne me ek student ka bahoot hi jyada prabava hota hai, student ke jivan me aalasya aane se keval sharirik par prabav nahi padata balki manshik rup se bhi student ke jivan par gahara prabhav padata hai, ab hum aapko student ke jivan par hone wale aalasya ke lakshan ke bare me batate hai,
- padhate samay nind aana.
- jyada samay tak padhai nahi kar pana.
- padha huaa yad na rahana.
- apne kam ko hamesh talte rahana.
- kam na karne ka koi bahana dhundhna.
ab hum aapko ek student ke jivan se aalasya dur karne ke bare me batate hai, aaj ke is samay me bahoot sare student aise hai, jo mobale ka use jyada samay tak karte hai, or apni padhai me man kam lagate hai, or we jab bhi padhai karne baithate hai, to ve aalasya jyada matra me karte hai, hum aapko kuchh aise aalashy dur karen ke kuchh tips batayenge jisse aapke jivan me aalasya dur ho jayegi, (aalasya ko dur kaise kare)
- ek student ko jab bhi padhai karna chahiye, tab use baithakar hi padhai karni chahiye, kabhi bhi padhai aapko bistar par nahi karni chahiye.
- padhai karte samay apne result ke prati dyan rakhana chahiye, or apne kisi lakshya ko lekar hi padhai kare.
- rat ko jyada der tak sochte nahi rahna chahiye, aapko rat ko bharpur. matra me nind leni chahiye.
- Roj exasize karte rahe.
- apne kam ke prati jagrook rahe.
5. aalasya se hone wale nukshan kon kon se hai
hamne kai sare logo ko dekha hai, ki wo aalasya karte rahte hai, or apne kam ke upar focus nahi karte hai, ve sochate hai, ki aalasya karne se koi nukshan thodi hota hai, lekin aapko hum bata de ki yadi aap bhi un logo ki tarah sochate hai, to aapko hum ek bat bata dete hai, ki aap yadi aalasya karte hai, to aap apne jivan me sabse badi galti karte hai, kyoki manushya ka sabase bada dushman hi aalasya hota hai, me aapko ek udaharan ke rup me batane ki kosish karta hu.man lo koi vykti sarkari noukari ki teyari karta hai, or wah roj aalasya ke karan thik se padhai nahi kar pata hai, or wah jab pariksha dekar aata hai, to usaka result aata hai, or use maloom padata hai, ki usaka selection nahi huaa hai, to wah bahoot dukhi hota hai, fir wah puri jindagi yah sochta rahta hai, ki kaash mene aalasya na ki hoti to aaj me kahi jagah noukari kar raha hota, yahi mera bhi aase kahna hai, ki aalasya ka humare jivan me bada nukshan hota hai,
conclusion
aaj ke is blog me hamne aapko bataya ki aalasya ko dur kaise kare, aalasya karne se hamare jivan par kitana gahara prabhav padata hai, student ke jivan me aalasya se hone wale nukashan kon kon se hai, aapko hamne bataya ki aap kis tarah se aalasya se chhutakara pakar apne sapno ko pura kar sakte hai,
aalasya ko dur kaise kare
ummed hai ki aapko hamara yah blog aalasya ko dur kaise kare bahoot pasand aaya hoga yadi aap bhi apne jivan ko aanand may banana chahte hai, or is aalasya se chhutakara pana chahte hai, to aapko hamare is blog me batai jane wali jankari ko apne jivan me aapko utarana chahiye, sath hi agar aapko humara yah blog achchha laga ho to aap apne sahpathi mitro ko jaroor share kare taki unako bhi aalasya se sambhandhit sari jankariya prapta ho sake, agar aapko is blog se kisi bhi prakar ki koi pareshani hai, to aap hame nichhe coment box me jaroor bataye,
apne doston ko is blog ko share zaroor karein taaki unhe bhi aalasya ko dur kaise kare is baare mein jankaari mil sake
(aalasya ko dur kaise kare aalasya ko dur kaise kare)
Start with Beginner’s Luck and work your method as much as} The Penthouse! Compete with gamers around the globe by working your way to the highest 코인카지노 of the Leaderboards. Instantly play your favourite free online games together with card games, puzzles, brain games & dozens of others, brought to you by Washington Post.
ReplyDelete