sarakari noukari ki teyari kar rahe aise student jinaka sapna hota hai, tehsildar banane ka unko aaj ke is blog me hum batayenge ki tehsildar kya hota hai, tehsildar kaise ban sakte hai, or apne or apne desh ka nam kaise roshan kar sakte hai,
namashakar dosto aaj ke is blog me hum aapko batane wale hai, tehsildar ke bare me aise bhoot se student hote hai, jo ek achchhe bade pad par karyarat hone ka sapna dekhate hai, yadi aap bhi teyari sarakari noukari ki kar rahe hai, or aapko bhi tehsildar banane ke kon si padahai hoti hai, or tehsildar se realated sari bate jo aap janana chahte hai, to aap humare is blog ko anth tak jarooor padhe,
1 tehsildar kya hota hai
2 tehsildar kaise bane
3 tehsill star par tehsildar ka kya kam hota hai
4 nayab tehsildar kon hota hai
5 tehsiladar ki salary kitani hoti hai
6 conclusion
1. tehsildar kon hota hai
aise student jo niyamit rup se din rat sarakari noukari ki teyari kar rahe hai, or ve ek tehsildar banane ka sapna dekhate hai, aise student ko hum kahana chahte hai, ki tehasildar banane se pahle aapko ek sabse pahle yah janakari rakhana jaroori hai, ki tehsildar kya hota hai, yadi aapko nahi pata hai, ki tehsildar kya hota hai, to hum aapko bata de ki tehsildar rajasvavy vibhag ka ek adhikari hota hai, jo apne tehsil me kisano ke sath me aarahi pareshaniyo ka nivaran karta hai, hum aapko bata de ki tehsil star par tehsildar ka pad hi bada hota hai, tehsildar ka kary hi hota hai ki apne tehsil ke sabhi vyaktiyo ka dyan rakhana aapne dekha hoga yadi kisi gram me ola vrasti ho jati hai, tab uski sikayat karne ke liye us gram ke kisan apni tehasill me jakar tehsildar se sikayat karte hai, aise me tehsildar ka yah adhikar hota hai, ki wah kisano ki samasyao ka nivaran kare is prakar se tehsiladar apni tehsil me ho rahi pareshaniyo ko dur karne wala vyakti hota hai,
2. tehsildar kaise bane
kya aap tehsildar banana chahte hai, yadi aap bhi tehsildar banana chahte hai, or apne sapno ko pura karna chahte hai, to aapko tehsildar banane ki sari jankari jo ek tehasiladar ko pata hoti hai, aapko bhi pata honi chahiye, kya hai tehsildar banane ki aayu kon si padhai karana padati hai, tehsiladar banane ke liye, aayiye in sab bato ke bare me hum aapko batate hai,
- student ko 10th or 12th karne ke bad usko kisi bhi course se graduation karna hota hai,
- graduation karne ke bad usako psc ki teyari karna hoti hai,
- aapko bata de ki psc ka full form (public sarvice commission ) hota hai, or aaapko isaki pariksha deni hoti hai, psc ke andar kai tarah ki parikshaye hoti hai, yadi aap tehsildar banana chahte hai, to aapko tehsildar ki pariksha deni hoti hai,
- tehsildar ke liye 3 prakar ki parikshaye hoti hai,
- screening test – is pariksha me aapko janch ki pariksha deni hoti hai, yah pariksha aavedan ke thik bad hi aapko deni hoti hai, is pariksha me aapke janch ka star chek kiya jata hai,
- main exam – dosto yadi aap janch pariksha me safal ho jate hai, to aapko fir main exam ki pariksha deni hoti hai, or aapko hum bata de ki yah pariksha mukhya pariksha ke rup me hoti hai, isme keval unhi student ko shamil kiya jata hai, jo janch pariksha ko pass kar chuke hai, yadi aapne bhi janch pariksha ko pass kar diya hai, to aapko bhi main exam samil kar liya jayega yadi aap janch pariksha me fail ho jate hai, to aapko mukya pariksha me samil nahi kiya jayega,
- interview – interview ka artha hota hai, sakshatkar yadi koi ummedavar upar bataye gayi dono parikshao ko pass kar leta hai, to usake bad usko interview cliar karna hota hai, bina interview cliar kiye hue koi bhi ummeedavar tehsildar nahi ban sakta hai, interview me aapse aapki kushalata or aapke telent ka gyan dekha jata hai, usame yah dekha jata hai, ki aap tehsildar banane ke yogy hai bhi ya nahi,
- aapko hum bata de ki tehsildar banane ke liye jo aayu sima rakhi gayi hai, wo is prakar se hai,
- tehsildar ke pad par aavedan karne ke liye aayu sima nunatam 21 varsh se adhikatam 40 varsha rakhi gayi hai, yah aayu sima alag alag rajyo me apne hisab se rakhi jati hai, tehsildar ki teyari kar rahe student aayu sima ka vishesh rup se dyan rakhe,
3. tehsill star par tehsildar ka kya kam hota hai
tehsildar ki teyari kar rahe student ko yah achchhi tarah se samajha lena chahiye ki tehsill star par ek tehsildar ka kary kya hota hai, ek tehsildar ka pramukha kary hota hai, jaise yadi kisi gram me kahi par kisi kisan ki fashal kharab ho jati hai, or wah gram us tehsil me juda huaa hai, to ek tehsildar ka yah kary hota hai, ki un kisan ki fashal ka muaavaja us kisan ko sarakar se dilavaye, bhumi sambandhit koi kisi prakar ka vivad ho to usaka nivaran karana, yadi kahi par kisi gram me vikash khetra hone me pareshani ho rahi ho ya un gam me kisi tarah ka koi vikas kary nahi ho raha ho to un gram me vikas ka kary karna, aapko hum bata de ki ek tehsil star par tehsildar hi ek sabse bada adhikari hota hai, apni tehsil me jitane bhi gam aate hai, un gramo ke kisan ki pareshaniyo ka nivaran tehsildar ke hato me hota hai,
4. nayab tehsildar kon hota hai
tehsildar se chota pad nayab tehsiladar ka hota hai, nayab tehsiladar banane ke liye bhi lagabhag proses wahi rahati hai, jab nayab tehsiladar karib 2 varsh tak apne is post par kary karake ek tehsiladar ke post par ja sakta hai, lekin aapko hum bata de ki tehsildar ke post par ek nayab teahsildar tabhi ja sakta hai, jab wah us tehsildar banane ke yogya ho, yadi usame yogyata nahi hai, tehsildar banane ki to wah usi post par rahta hai, yadi aap nayab tehsiladar hai, ya banana chahte hai, to aap koshish kare ki ek achchhi or badi post tehsildar ke pad par aap jaye,
read more:
5. tehsildar ki salary kitani hoti hai
agar hum ek tehsildar ki salary ki agar bat kare to aapko hum bata de ki tehsildar ki salary sabhi rajyo me alag- alag hoti hai, lekin hum aapko bata de ki tehsildar ki salary kam se kam 9600 hoti hai, or jyada se jyada 40000 ho sakti hai,
6. conclusion
tehsiladar ki teyari kar rahe student ko pata chal hi gaya hoga ki aap kis tarah se tehsildar ki teyari kar sakte hai, or kis prakar se tehsildar ban sakte hai, yadi aap tehsildar banana chahte hai, to hamari kamana hai, ki aap ek na ek din jaroor tehsildar banenge,
ummeed hai, ki humare dvyara diya gaye blog se aapko ek tehsildar ke bare me sari janakari mil hi gayi hogi yadi aapko humara yah blog tehsildar kya hota hai, pasand aaya ho to aap hume niche coment karke hame jaroor bataye sath hi yadi aapko hamari yah janakari achchhi lagi ho to aap apne dosto ko share jaroor kare,
Comments
Post a Comment